Monday, 20 November 2017

 मेरे कांधे पे कोई सर रक्खे ,
 
जुल्फ अपने खोल कर रक्खे।

 
मेरी बातों से इतीफाक करें ,
 
अपनी बातें वो मगर रक्खे।

 
घर बसाने का हो शऊर उसमे ,
 
घर बचाने का भी हुनर रक्खे।

 
गुस्ताखियों से वो सताये मुझे ,
 
बेबाकियों से मुआतबर रक्खे ।

 
रुख पे रक्खे हिजाब-ए-हया ,
  
हौसालों को बाम पर रक्खे ।
©
                ~~~
रमण

Thursday, 1 August 2013

Maa tum yaad aai

Jab kabhi dard hua maa tum yaad aai,
Jindagi jab bedard hua maa tum yaad aai.

Jo bhi mila jamane mein wo khudgarz mila,
Jab koi hamdard hua maa tum yaad aai.

Baharon mein jindagi ke tujhe bhulaya toh nahi magar, lekin,
Jab khiza aain, aur pedh jab jard hua, maa tum yaad aai.

Sab the zehan mai mere , mai bhoola nahi kisi ko,
Magar nabz jab sard hua, maa tum yaad aai.

Rasm-o-riwayaton se , ummiidon aur jimedariyon se , joojhte- joohte,
Hausala jab namard hua, maa tum yaad aai.

----Raman

Khwaab dekho magar

Khwaab dekho magar, tabeer ki dua na karo,
Ho poori tumhari har aarzu yeh iltiza na karo.

Dene wala teri aur apni haisiyat se wakif hai,
Ummed se jyada maang kar usse ruswa nakaro.

Millega tum ko woh har cheez jo tumhare kabil hai,
Kisi aur ki takdeer ko dekh kar koi shikwa nakaro.

Mila hai usko hi manzil , bhadhe hain jiske kadam bhi,
Ke khaak anjaam se milo, jo ibteda na karo.

Koi bhi baat ho, toh pehle dil-o-dimagl ki suno,
Magar kabhi kabar indono se mashwara nakaro

---Raman

Mujhe se mumkin hi nahi

Mujhe se mumkin hi nahi phir bhi ye kar dekhenge;
Aaj se,isi pahar se, tujhse door hokar dekhenge.

Kya hua jo na nazar aaya tere chehre pe mere pyar ka rang,
Gair ke rang-e-ishq ka tere chehre pe asar dekhenge,

Jab bhi kijayegi yetbar ki intejar ki baaten;
Sab log mujhe aur meri nazar dekhenge.

Gam ke andhere se tu itna na dar ye dil;
Raat kat jayegi hum phir se sahar dekhenge.

Tu na kuch soach, reh tu aapne jaffaon me mashgul;
Hum to apna or apni waffaon ka hashar dekhenge,

Tujhme kya dekhenge jahan wale khuda jane,
Mere lab pe tabbassum, mere aakhon me ashkon ka bashar dekhenge.

------Raman

Sohbatye gul ke

Sohbatye gul ke rahoon phir bhi mujhe khaar nazar aata hai,
Ab toh har mehfil-o-bazm bhi bezaar nazar aata hai.

Kya hua mujhko, main khud se tanha kyun hoon,
yeh meri haalat, kisi mazr ka aasaar nazar aata hai.

Nigahein hadd tak, aap hi aap nazar aatein hain hammein,
Aap ki zustazu mere khayalon ke liye deewaar nazar aata hai.

Aai raman aapne azizon ke dagaon ka yeh sadma dekho,
Ab toh rehbar bhi, sitamgaar nazar aata hai.

Ishq ka hoga yeh aasar hammein maloom na tha,
Rooh khush hai, magar jism bimaar nazar aata hai.

Khauf-e-dozak hai , ya khwahish-e-jannat, hum nahi jaantein,
Hum to khush hain ke nakhudaon ka, khuda gaah mein quataar nazar aata hai.

------Raman

Woh hummse

Woh hummse wafa ka silla maangte hai,
Hum unse kamskam zafa maangte hai,

Kahin jal na jaye ye kayanaat sari,
Muhabbat ke sharare hawa maangte hai,

Jisse dekhiye dard hi dard dega,
Magar woh sabi se dawa maangte hai,

Na jiun agar toh maut tere shano pe aaye,
Hum rab se yehi bas dua maangte,

Sambhalte nahi aadmi aadmi se,
Magar aapne ghar me khuda maangte hain.

------ Raman

Sambandh ki majbootion

Sambandh ki majbootion ke liye sampark hona chahiye,
Har samwaad suni jayegi, usme tark hona chahiye.

Achche burre ki jikr hi kafi nahi hai dost,
Achche burre me mukammal kaoi fark hona chahiye

Himmayati ke shakal mai dagabaaz millte hain,
Aapno ke bhidh me bhi insaan ko satark hona chahiye.

Duniya kahan insaano ke neeyat ki tapsil karti hai,
Koi kaisa bhi ho, bus usme, sachaion ka warq hona chahiye.

----- Raman