Thursday, 1 August 2013

Maa tum yaad aai

Jab kabhi dard hua maa tum yaad aai,
Jindagi jab bedard hua maa tum yaad aai.

Jo bhi mila jamane mein wo khudgarz mila,
Jab koi hamdard hua maa tum yaad aai.

Baharon mein jindagi ke tujhe bhulaya toh nahi magar, lekin,
Jab khiza aain, aur pedh jab jard hua, maa tum yaad aai.

Sab the zehan mai mere , mai bhoola nahi kisi ko,
Magar nabz jab sard hua, maa tum yaad aai.

Rasm-o-riwayaton se , ummiidon aur jimedariyon se , joojhte- joohte,
Hausala jab namard hua, maa tum yaad aai.

----Raman

Khwaab dekho magar

Khwaab dekho magar, tabeer ki dua na karo,
Ho poori tumhari har aarzu yeh iltiza na karo.

Dene wala teri aur apni haisiyat se wakif hai,
Ummed se jyada maang kar usse ruswa nakaro.

Millega tum ko woh har cheez jo tumhare kabil hai,
Kisi aur ki takdeer ko dekh kar koi shikwa nakaro.

Mila hai usko hi manzil , bhadhe hain jiske kadam bhi,
Ke khaak anjaam se milo, jo ibteda na karo.

Koi bhi baat ho, toh pehle dil-o-dimagl ki suno,
Magar kabhi kabar indono se mashwara nakaro

---Raman

Mujhe se mumkin hi nahi

Mujhe se mumkin hi nahi phir bhi ye kar dekhenge;
Aaj se,isi pahar se, tujhse door hokar dekhenge.

Kya hua jo na nazar aaya tere chehre pe mere pyar ka rang,
Gair ke rang-e-ishq ka tere chehre pe asar dekhenge,

Jab bhi kijayegi yetbar ki intejar ki baaten;
Sab log mujhe aur meri nazar dekhenge.

Gam ke andhere se tu itna na dar ye dil;
Raat kat jayegi hum phir se sahar dekhenge.

Tu na kuch soach, reh tu aapne jaffaon me mashgul;
Hum to apna or apni waffaon ka hashar dekhenge,

Tujhme kya dekhenge jahan wale khuda jane,
Mere lab pe tabbassum, mere aakhon me ashkon ka bashar dekhenge.

------Raman

Sohbatye gul ke

Sohbatye gul ke rahoon phir bhi mujhe khaar nazar aata hai,
Ab toh har mehfil-o-bazm bhi bezaar nazar aata hai.

Kya hua mujhko, main khud se tanha kyun hoon,
yeh meri haalat, kisi mazr ka aasaar nazar aata hai.

Nigahein hadd tak, aap hi aap nazar aatein hain hammein,
Aap ki zustazu mere khayalon ke liye deewaar nazar aata hai.

Aai raman aapne azizon ke dagaon ka yeh sadma dekho,
Ab toh rehbar bhi, sitamgaar nazar aata hai.

Ishq ka hoga yeh aasar hammein maloom na tha,
Rooh khush hai, magar jism bimaar nazar aata hai.

Khauf-e-dozak hai , ya khwahish-e-jannat, hum nahi jaantein,
Hum to khush hain ke nakhudaon ka, khuda gaah mein quataar nazar aata hai.

------Raman

Woh hummse

Woh hummse wafa ka silla maangte hai,
Hum unse kamskam zafa maangte hai,

Kahin jal na jaye ye kayanaat sari,
Muhabbat ke sharare hawa maangte hai,

Jisse dekhiye dard hi dard dega,
Magar woh sabi se dawa maangte hai,

Na jiun agar toh maut tere shano pe aaye,
Hum rab se yehi bas dua maangte,

Sambhalte nahi aadmi aadmi se,
Magar aapne ghar me khuda maangte hain.

------ Raman

Sambandh ki majbootion

Sambandh ki majbootion ke liye sampark hona chahiye,
Har samwaad suni jayegi, usme tark hona chahiye.

Achche burre ki jikr hi kafi nahi hai dost,
Achche burre me mukammal kaoi fark hona chahiye

Himmayati ke shakal mai dagabaaz millte hain,
Aapno ke bhidh me bhi insaan ko satark hona chahiye.

Duniya kahan insaano ke neeyat ki tapsil karti hai,
Koi kaisa bhi ho, bus usme, sachaion ka warq hona chahiye.

----- Raman
Ab sarai (tent) nahi, hame basera (house) chahiye,
Diyon se kuch nahi hoga, sabera chahiye.

Gujri tamam umr aapne-aapno ki kashmakash mein,
Koi toh ab mujhe bhi, mera chahiye.

Maang kar hamne bhi dekha hai, kuch nahi milta,
Kuch hasil ho, is ke liye , tujh me bhi ik lootera chahiye.

Numaaindon jaan lo hum hi se hai tumhara wajood,
Dokhe bahut de chuke, ab mujhe hak mera chahiye.

------Raman

Duriyan

Duriyan badhti gaein har mulakat ke sath,
Rishte bikharte gayein tajurbaat ke sath.

Hamme khatawar na kaho,kyunki ham majbur hain,
Hamari baat hi suni jaati hai, fasadat ke sath.

Kaun kehta hai ki insano mein koi frak nahi hai,
Frak to dikhjati hai aadatan, ilam (Knowledge)-o-saqafat (culture) ke sath.

Ek woh waqt tha ke har baat pe jung chirdi rehti thi,
Ab yeh aalam hai ke sulah kar lete hain har halaat ke saath.

Jimmedariyon aur majburiyon ki shakal milti hai,
Ke issi umr mein milti hai dozak bhi, kayanaat ke sath.

-----Raman

Abhi zindagi me

Abhi zindagi me bahut raaste hain, thehar mat ki ye teri manzil nahi hai,
Bahut khubsurat ye manzar hai lekin, musafir ye tere kabil nahi hai,

Ye jeevan samandar aur insaan hai kashti,
Umr bhar mukaddar mai sahil nahi hai.

Hai insaan ki fitrat, khushi mai hai kurbat,
Lamha-e-dard mai koi shamil nahi hai.

Tu chal par andheron mai sitaron ke sahare
Na gam kar ke falak me mahekamil nahi hai.

-------Raman

Kaun behtar hai

Kaun behtar hai iss jamane mey,
Der hai sirf aajmane mey.

Hamme mehlon se tere koi khalish(jealous y) hi nahi,
Hum hai khush apne aashiyane mey.
...
Shohraton ka junoon lazim hai,
Hosh rakhiye magar tthikane mey.

Teri chaahat bhi ek khumari hai,
Behtari hai magar tujhe bhulane mey.

Hai bahut aasan dosti ya ke dushmani kiije,
Kalleja chahiye usse nibhane mey.

Sab ne nawaja usse pattharon se, badduaon se,
Aaj bhi jinda hai magar, janetkya baat hai deewane mey.

---Raman

Gar izzajat ho

Gar izzajat ho toh puri mai apni aarjoo kar loon,
Tere khamosh nigahon se guftagu kar loon.

Apne aagosh mai bhar loon tujh ko,
Aapne saanso me tere saanso ki khushboo bar loon.
... ...
Teri baatein mai jamane se kiya karta hoon,
Ab hai khwahish ki har baat ro-ba-roo kar loon.

Tu meri ho nahi sakti yeh yaakeen hai mujhko,
Dil yeh kehta hai ki tujhe paane ki zustazu kar loon

------Raman

Kya lutf

Kya lutf jindagi me ho, gar jindagi me tu na ho,
Kya keejiye aise gul ka jisme rang-o-boo na ho.

Intna na tum rulao ke aankho se khoon nikal pade,
Roye ga phir woh khakh jiske dil me lahoo na ho.

Jana hai mujhse door toh yaadon ko kehti ja,
Ke ab wo kabhi mere roo-ba-rooh na ho.

Tere bagair maut ka daman toh tham loon lekin,
dar hai azal bhi jindagi ki hoo-ba-hoo na ho.

Har hasraton ko ai "raman" maine kar diya rukhsat,
Hai aarzoo yehi ki koi aarzoo na ho.

Mumkin hai ki har marz ki khatir tum do dawa hakkim,
Lekin marize ishque ko phir bhi raahat-o-sukoon na ho.

----Raman

Jaate jaate

Jaate jaate woh mujhe saugaat de gaye,
Lab par hansi aankho ko barsaat de gaye.

Itna tha mera fikr ke woh jaate jaate bhi,
Tanha na chord,gam mere saath degaye.

-----Raman

Mere khuloos

Mere khuloos mere aitbaar ka eh sila nikla,
Woh ek dost jo bahut ajeez tha bewafa nikla.

------Raman

Woh Na namaste na salaam

Woh Na namaste na salaam karte hain,
Aur ek hum ke sirf unka ehtaram karte hain.

Woh hamme bhool gaye hain shayad,
Jinhe hum yaad subho-shaam karte hain.

Woh jinhe kuch bhi hasil nahi jamane mai,
Wohi baatein tamaam karte hain.

Hosh walon ki jehni behoshi ko dekh kar,
... Hum hain khush ke hum maikadon me shaam karte hain.

Jinse mumkin nahi jamane me kuch bhi,
Wohi auro ko badnam karne ki koshish-e-nakaam karte hain.

----Raman


https://www.facebook.com/pages/Raman/509863979076114

Chale Aao

Chale aao ke mai tanha hoon, tera saath chahiye
Bahut sanjeeda hui hai jindagi meri , khurafat chahiye

Mai sone ki karu kosish to mujhko neend nahi aati,
Mari akhon ko kyun har shab sitaron ki baraat chahiye

Kiya hai kab khushi ki kwahish, mujhe tu gam hi gam de de,
Ke hai bas illtija itni, mere aankho ko barsat chahiye

Kya ye kafi nahi tarruf, ke insaan hoon mai bhi,
... Sabhi ko kyun mera majhab aur meri jaat chahiye.

Har ek mausam gale milna, har ek ko janasheen kehna,
Tere niyat pe yaakin karne ko, us me jajbaat chahiye

Mujhe sanjeedgi se lo, mai insaan hi alag hoon,
Mujhe mutmain kar sako, tum me wo baat chahiye

-------Raman


https://www.facebook.com/pages/Raman/509863979076114

Aai kash yun ho

Aai kash yun ho jab untak ishq ki khabar jaye,
Hamara jikr sunte hi who bikhar jaye.

Tu khushbuon ki manind faila de mujhe, chaar-su,
Mujhe wo apne hi sampt payen wo jidhar jaye.

Nahi hai aur koi manjil meri tumhare siwa,
Tumhare aor rukh kare har rah , hum shab jaye ya sehar jaye,

Rusbaion ka sabab na bane , chalo juda hote hain,
Hui hai sham , tum apne ghar, hum aapne ghar jaye,

Humme na maquaam se hai maqsood , na anjaam ki hai khauf,
Hum wo musafir hain, jo kafan odh kar har safar jaye.

Har ek lafaz, chubhti hai khanzaron ki tarah,
Ke humari hijr ki hi jikr hai, hum kidhar jaye.

Kabhi hazar naam se takseem kiya, Kabhi rewayaton ki daleel di,
Nakaam koshish hai ye, aab mumkin nahi ke hum dar jaye,

Pareshan firtein hain sab log, surat sawaarne ke liye
Kaash koi surat, unki seerat bhi sawar jaye.

-----Raman


www.facebook.com/pages/Raman/509863979076114