Thursday, 1 August 2013

Chale Aao

Chale aao ke mai tanha hoon, tera saath chahiye
Bahut sanjeeda hui hai jindagi meri , khurafat chahiye

Mai sone ki karu kosish to mujhko neend nahi aati,
Mari akhon ko kyun har shab sitaron ki baraat chahiye

Kiya hai kab khushi ki kwahish, mujhe tu gam hi gam de de,
Ke hai bas illtija itni, mere aankho ko barsat chahiye

Kya ye kafi nahi tarruf, ke insaan hoon mai bhi,
... Sabhi ko kyun mera majhab aur meri jaat chahiye.

Har ek mausam gale milna, har ek ko janasheen kehna,
Tere niyat pe yaakin karne ko, us me jajbaat chahiye

Mujhe sanjeedgi se lo, mai insaan hi alag hoon,
Mujhe mutmain kar sako, tum me wo baat chahiye

-------Raman


https://www.facebook.com/pages/Raman/509863979076114

No comments:

Post a Comment